Sunday, 11 December 2016

Gujjar histry part .4

Gujjar es jang ma kafi thak chukay thay ab apni thori har ka dukh or jeet ki khushi the rakso saror ki meflian hoin baraman hindun nay khubsurat larkian gujjarun k samnay dance k liay paish kian baraman hindun ki dosti nay gujjraun se un ka deen bula dia wo hindu hi ho gey jo aj bi kaseer tadad ma rajustan ma abad hian baraman hindun k sath or whan ki rajustani zubani asal ma un gujjarun ki zuban gujjari hi ha ,baraman nay gujjarun ma ahtad khatak krwa dia jo muslim thay wo bhag kar kashmir or dosray alaqun ma chalay gey kuch bahiun ki apis ma zabardast jangian hoin
Un jangun ma chaichi jeet gea baki sab bhag gey unun nay baramanu k sath mil k chaichi pa hamla kea chaichi aik qila ma masuhar ho gea apni family k sath udar se sultan mehmood gaznawi nay hamla kr dia qila k 4run taraf pani ni nahar the sultan mehmood k pas pani se guzarnay ka saman ni tha us nay chal khaili gujjar k dosray bhiun ko laluch di k es se alaqa chen k ap ko dun ga unu nay laluch ma kashtian farham kr dian jes k zariah sultan mehmood nay Qilay ko geray ma le lia sb foji maray gey chaichi ko bi qatal kar dia
Baki part 5 ma

Monday, 5 December 2016

Gujjar histry part.3

Gurjar k betay alag hukumat kar ray thay baray bhi chaichi gujjar sb pa hakum tha sb bhi usay jawab dah thay magar rafta rafta sb bhiun nay apni khudsakhta raistain bna lian or baray bhi se bagawat kar di jes ki waja se bhiun ma apis ma jangian shuru ho gain chaichi nay sb ko zair kar lia jes ka dusray bhiun ko dukh tha wo har wakat badla lenay ki tak ma rahtay akhar wo kafi had tak kamyab ho gey chaichi apni raisat tak mehdud ho gea jes ka fida sultan mehmood gaznawi nay uthia hua,us se pahlay ma ap ko gujjarun k atfaq ma rahtay huay jangun ka hawal bta dun gujjarun nay afganstan tak hukamat qaim kar rakhi the jes ktasas aj bi whan majod hain wahan kaseer tadad ma gujjar abad hain jo pashto boltay hain hindustan ma baraman hindu bhut aksirat ma abad thay wo gujjarun ko un k mazab islam ki waja se pasand ni krtay thay wo aksar bair se hamla awar hunay walun ka satht dahtay gujjarun k khalaf un ko zair krnay k liay gujjarun nay un ki aik sharat mani k bal katwa k sar pa aik choti rakhnit ha yani baraman hindu ki taray hulia bnana ha agar aisa kro gey ham jang ma sath dain gey gujjarun nay majburi ya sharat man li kiun k sultan mehmood bhut zaida fooj le k hamla awar ho ra tha us jang ma khain sal lag gey kiun k sultan mehmood ko har hal ma poray khitay ki hakumat chayiah the bil akhar afagnastan us nay gujjarun se chen lia jes ma khaibur pakhtunkhwa jo ab pakistan ka hesa ha shamil tha
Next ap ko part4 ma btaun ga

Sunday, 4 December 2016

Gujjar histry part 2.

Iran k fattah hunay k bad gurjar sikandar e azam k sath kahain jangun ma gea baresager par jb sikandar e azam qabiz hua us wakatt gurjar bi sath tha hindustan pa qabza k bad gurjar kuch sal hindustan he ra us nay lag bhag 20 shadian ki thain us k janay k bad us ki kuch ulad yan he abad ho gai or kahian sal tak badshat krti rai
,bania,paswal,chaichi,kasana,khatana,pumbla,chuwan,bajarr,ya gurjar k betay thay jin ko alag alag jaga ma hakumat di gai gurjar k marnay k bad chaichi jo sb se bara bhi tha sb raistan ka badsha bna agey mazid btanay se pahlay ap ko bta dun gurjar ,lafz gujjar kaisay bna hindustan k hindi bolnay walay jes taray zat ko jat kahtay hain esi taray gurjar ko gujaar bolnay lagay jo bad ma makhtalif zubanu k begar se gujjar bn gea
Like and subcribe kijiah agli post ma btaun ga gujjar bhiun nay kis taray jangain ki or kisi taray alag huayah

Saturday, 3 December 2016

Gujjar histry part.1

Gujjar histry start krnay se pahlay ap ko btana apna farz samjata hun k ma khud gujjar hun or apni qoam se bilkul usi taray peyar krta hun jaisa ap sb krtay ho
Gujjar qoam wo waid qoam ha jis ki apni zuban apni saqafat ha ya barahsager he ni balkay pori dunia ma har jaga abad ha ma nay koshesh ki ha k apni qoam ki aik jamay or mastanad tarik beyan kr sakun es k liay ma nay bhut se book ka matala kia
Gujjar qoam hazrat ishaq (h.a)ki nasal se hain jb hazrat ismail ko hazrat ibriam nay nabuwat di tb hazrat ishaq ko ranjeda dakh k hazrat ibriam nay dua di k jao tmari itni nasal ho ge jes ka koi shamar ni ho ga
Whan se bhut arsay k bad younan ma hazrat ishaq ki nasal se sakandar e azam paida hua jes ka nam pahlay kuch or tha jb dunia pa kabiz us ki bena pa sindar e azam ka laqab mila aksar suna gea ha us ki ulad ni the magar haqiqat ya the us k 10 betay thay sb se chota beta gujjar qoam ka jad e amjad ha iran ma hamla kr k jb sikandar ki foaj gai us ka sipa salar us ka beta tha whan ka badsha pehlwani ma mair tha us zamanay ma us nay loay ka bhut wazni gaz rakha tha k jo bi es ko utay ga wo jeet jay ga jang ma sikandar k betay nay wo utha lia whan ki qoam nay us ko bhadri ka khatab dia gurjar jes ka matlib ha bhadar next part ma ap ko btaun ga gurjar lafz gujjar kaisay hua or us k kitnay betay or kahan kahan kis kis se jang ki or gujjar qoam ka uroj o zawal like krna mat bhuliay ga